Mayyat k gar khana khilane ka hukam

159 viewsBidat and Rasm o Riwaj
0
0 Comments

As Salamo Alaykum V.v.
Hazrat ek masla he ki jis k ghar mayyet ho jae to ham us k ghrwalo ko khana kab Tak khila sakte he ? Or Jo mehman aae to kya unhe bhi khila sakte he or bahar kisi k pas banwa kar khila sakte he ?

aajkasawal Changed status to publish May 16, 2024
Add a Comment
0

MAYYIT KE GHAR VALO KO KHANA KHILANA AUR RISHTEDARON KO WOH KHANA KHANA

Mayyat k gar khana khilane ka hukam
As Salamo Alaykum V.v.
Hazrat ek masla he ki jis k ghar mayyet ho jae to ham us k ghrwalo ko khana kab Tak khila sakte he ? Or Jo mehman aae to kya unhe bhi khila sakte he or bahar kisi k pas banwa kar khila sakte he ?

šŸ”µJAWABšŸ”µ

A.kisi ke yahaa mayyit ho jaaye to un ke qaribi rishtedaro aur padoshoyo ke liye mustahab hai ke unke liye khane kaa intezaam kare aur khud saath bethkar ke unko khilaaye, gum aur kafan-dafan me mashgul hone ki vajah se khana pakane vagayrah ka unko moqa nahi milta, Huzur;sallalhu alayhi vasallam ne uska hukm bhi farmaya hai. lihaza jolog mayyit ke kafan-dafan me lage ho unko bhi khilan jaiz hai.

šŸ“—(MADARIJUNNUBUVVAT:710/1 IBNE MAJA:116,MISHKAT:15)
B.
Ehle mayyit ke ghar ziyaafat-dawat khane ki rasm jo pad gayi hai usko yaqeenan chhodna vajib hai. sirf ehle mayyit ke voh rishtedaar jo dur dur se aaye ho aur unki us roz vaapsi na ho sake ya qareeb me rehte ho lekin ehle mayyit ki tasalli ke liye unka therna zroori ho to voh mayyit ke ghar khana khale to thik baaqi taslli denevale, mohallevalo ko apne apne ghar ko vaapas jaana chahiye na mayyit ke ghar qayaam kare na ziyaafat-dawat khaye.
Aur khana bahaar bhi bana sakte hai.
šŸ“™(MASAIL E MAYYIT:280-281,BAHAWALA KIFAYATUL MUFTI 4/109-33)

Łˆ Ų§Ł„Ł„Ū Ų§Ų¹Ł„Ł…
šŸ“ Mufti Imran Ismail Memon.

šŸ•Œ Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

aajkasawal Answered question May 16, 2024
Add a Comment
You are viewing 1 out of 1 answers, click here to view all answers.