Qurbani ki fazilat
sawal
Qurbani karne ki kya fazilat hai ?
Jawab
Hazrat aishah رضی اللہ عنھا se riwayat he ke huzur صلہ اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya ke zil hijjah ki 10 tarikh ya’ani eidul azha ke din insan ka koi amal allah taala ko qurbani se ziyadah mahbub nahin hai aur qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo aur baalo our khuro ke saath zinda hokar aayega our qurbani ka khun zamin per girne se pehle allah taala ki raza aur maqbuliyat ke maqam per puhonch jata hai , pas ae khuda ke bando dil ki poori khushi se qurbaniyan kiya karo.
Dusri riwayat me hai ke qurbani ke janwar ke har baal ke badle me ek neki milegi sahaabah radeeallahu anhum ne arz kiya ya rasoolallah uun ki bhi yahi fazilat hai.(uun barik hone ki wajah se bahut hota hai) huzoor ﷺ ne farmaya haan har un ke baal ke badle me bhi ek neki hai.(mafhume hadis)
Janwar ke badan par hazaaron aur laakhon baal hote hain. Deendari ki baat yeh hai ke itne bade sawab ki lalach me jis par qurbani wajib nahin hai us ko bhi kar deni chahiye yeh din chale jayenge to itna badaa sawab kaise hasil hoga?
Tirmizi sharif wa ibne maajah bahawala masaaile qurbani 32 bifarqi yasir