QURBANI KIS PAR WAJIB?

Har musalman aqil balig mard wa aurat jis ke paas qurbani ke din 10,11,12, zil hajjah me  nisaab ke baqadr ka maalik  ho qurbani wajib hai.

Nisaab: 52.5 (saade bavan tola), 612 gram 35 mili gram  chaandi (silver)

ya uski aaj 7/9/2015 ko us ki  qeemat 20600 rs.ka koi bhi maal,saaman qarza ho to ada karne ke baad bachta ho

Ya thoda thoda sona, chaandi, cash rupiye, zarurat se ziyada saaman, tijarat aur gaire tijarat ka maal…. in chizon me se kisi bhi do chiz ko milaya jaye to uski qeemat saade baavan tola chaandi ya 20600 rs.ko pahuch jaye tab  bhi qurbani wajib hai.

Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai ahr 50 rs. Cash hai to in dono ki qeemat 52.5 tola chaandi se bhi ziyada hogi, lihaza qurbani wajib hogi,(aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai) haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal bilkul na ho to 7.5 tole se kam ho e ki soorat me qurbani  wajib nahi hai

 

MASAILE QURBANI

AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ

IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *