RAJAB KE KUNDO KA KYA HUKM HAI..?

RAJAB KE KUNDO KA KYA HUKM HAI..?

SAWAL

RAJAB KE KUNDO KA KYA HUKM HAI..?

Jawab

 

Agar rajab ke kundo ki koi haqeeqat maan bhi lee jaye to bhi is me hasabe zail kharabiyan hai.

 

  1. Din ki tayeen

Sawab kabhi bhi pohnchaya jaye pahoch jataa hai. Shareeat ne uske liye koi din aur waqt muqarrar nahin farmaya, magar ye hazrat 21 vi raat me pabandi aisa zaroori samajte hai ke goya yahi khudaai shareeat hai.

Aur agar uske bajaye kisi aur din isaale sawab karne ko kaha jaye to ye hazrat us par kisi tarah raazi nahi honge, unke is tarze amal se maaloom hota hai ke sirf isaale sawab maqsood nahin, balke inke nazdeek ek aisi ibaadat jo sirf isi taarikh aur isee maheene me  adaa ki ja sakti hai,

Algarz isale sawab ke liye kisi taarikh ko zaroori samajna ek fujul harkat hai. Jiski shareeat me koi asal nahin aur isko zarooree samaj lena khuda wa rasool salallahu alaihi wasallam ke muqable me apni shareeat banana hai.

 

2 .khana hi pakana

Khana karne me is baat ka khusoosiyyat se ehtimaam kiya jata hai ke kheer hee pakayi jaye, agar isaale sawab maqsood hota to itni raqam bhi sadqah ki ja sakti thi. Aur itne pesa ka galla [anaaj] ya kapda kisi miskeen ko chupke se is tarah diya ja sakta tha ke baayen haath ko khabar na hoti, aur ye amal khud dikhlave aur riya se paak hone ki vajah se maqbule baargahe khuda vandi bhi hota.

Khir pakane ka ya khane pakane hee ko isaale sawab ke liye zaroori samajna aur ye khayal karna ke iske bagair isaale sawab hi nahin hoga ye bhi ek alag shareeyat banana hai.

 

  1. Maaldaron ka khud kha jana

Sawab to sirf utne khane ko milega jo faqeeron aur miskeeno ko khila diya jaye. Magar rajjab ke kunde, gyaarvin shareef vagairah isaale sawab ke khaane pakakar log zyadatar khud hi kha pi lete hai, ya dost ya rishtehdaaron ko khila dete hai. Faqiron aur miskinon ka hissa usme bahot hi kam hota hai. Uske baavajood log samajte hai ke itna khana pakaya gaya pure ka sawab hazrat jafar sadiq ya hazrat pirane pir rh.ya fulah buzurg ko pahoch jata hai. Ye bhi shariyat ke kayde ke khilaf hai, kiyun ke shareeyat me sawab to is chiz ka milta hai jo batore sadqah kisi ko maalik banakar de di jaaye. Sirf khana pakana koi sawab nahin.

 

  1. Tabarruk samaj na

Bahot se log rajab ke kunde ya 11 gyarvin ke khane ko tabarruk samjte hai, halaan ke abhi maalum ho chukka ke jo khana khud kha liya jaaye wo sadqa hi nahin. Aur na hazrat jafare sadiq ya peerane peer vagairah ke isaale sawab se uska kuch talluq hai, aur khane ka jo hissa sadqah kar diya gaya uska sawab beshak pohchega, lekin sadqe ko hadish me “avsakhun naas” [logo ka mel kuchel] farmaya gaya, isi bina par huzoor sallallahu alayhi wasallam aur unke aal ke liye sadqah jaiz nahin. Aur jis chiz ko huzoor sallallahu alayhi wasallam mel kuchel farmaa rahe ho usko tabarruk samajhna aur bade bade maaldaron ka usko shoq se khana aur khilana kya  huzur sallallahu alyhi wasallam kitaalim ke khilaf nahin?

 

[ ikhtilaafe ummat aur siraate mustaqeem,

Hazrat mavlana yusuf ludhyanvi  r.h.

Safa-200 se 202]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *