Language
Click below for languages:
Rukhsati Ka Islami Tareeqa
⭕AAJ KA SAWAL NO.3408⭕
Shadi ho jane ke baad dulhan ko us ke shohar ke yahan rukhsat karne ka islami tareeqa kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Dulhan ko dulhan ke ghar ki kisi ladki,khadimaa,ya mahram mard ke sath ya ladkon ke ghar ki aorton ke sath bheja jaye Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ne apni sahabzadi hazrat fatima Radeeyallahu anha ko apni khaadima umme ayman ke sath hazrat ali Radeeyallahu anhu ke yahan bhej diya tha.
Dulhan ko ladki ke gharwale chhod kar aaye is tareeqe me kai fayde hai.
1.Ladkewalon ke zimme se baarat ka kharch aur us ki tamam kharabiyon se hifazat ho jati hai.
2.Ladkiwalon ke zimme baratiyon ko ikraam me khilane aur intizam ke kharch ka boj nahi aayega.
3.Baaratiyon ke sath sath ladkiwale apne rishtedaron ko bhi khilane me ek walime jaisi gair sabit dawat ke kharch se nahat mil jayegi.
dulha khud dulhan ke lene ke liye pahonch jaye ye tareeqa huzoor sallallahu alaihi wasallam aur sahaba radeeallahu anhum se sabit nahi
rukhsati ke koi khas tareeqa shareeat me nahi hai lekin rukhsati nihayat sadgi ke sath honi chahiye Aaj kal raat bahut der se rukhsati hoti hai jis me fajr ki namaz qaza ya susti ke sath hone ka khatra hota hai jo bahut hi galat hai. sath me jahez ka saman bhejna zaroori nahi baad me bhi bheja ja sakta hai.
📗MASAILE NIKAH WA AHKAME TALAQ WA ISLAMI SHADI SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب