Saans Jaari Rakhne Ki Machine (Ventilator Mashin) Ko Hataana 1503
Aisa Mareez Jo Marne Ke Qareeb Ho, Uski Dil Ki Harkat Ko Aur Saans Ko Jaari Rakhne Ke Liye Uski Machinery Lagayi Jaati Hai, Us Machinery Ko Hataa Diya Jaye To Mar Jata Hai, Aur Machinery Kayi Din Tak Lagi Rehti Hai, Aur Mareez Ke Bachne Ki Ummeed Na Hone Ke Bawajood Hospital Ka Bil Bante Rehta Hai, To Kya ‘Saans Jaari Rakhne Ki Machine Ventilator Mashin Ko Hatana‘ Jaiz Hai?
Kahin “Saans Jaari Rakhne Ki Machine Ventilator Mashin Ko Hatana“Qatl Ke Hukm Me To Nahin?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
Aise Mareez Ke Jism Se Zindagi Baaqi Rakhne Ke Machine Lagaaye Gaye Ho, Agar Uske Dimag Ka Kaamkaaj Mukammal Taur Par Bandh Ho Jaaye, Aur 3 Maahir Jaankaar Doctor’s Is Par Muttafiq (Ek-Mat, Sehmat) Ho, Ke Ab Yeh Kaamkaj Dobarah Shurua Nahin Ho Sakega.
To Us Mareez Ke Jism Se Lagi Huyi “Saans Jaari Rakhne Ki Machine Ventilator Mashin Ko Hatana” Durust Hai, Chahe Us Machine Ki Wajah Se Mareez Me Dil Ki Harkat Aur Saans Ka Nizam Baaqi Ho.
Albattah Mareez Ki Maut Shar’an Us Waqt Se Muatabar Maani Jayegi, Jab Un Machinery Ke Hatane Ke Baad Dil Aur Saans Apna Kaam Band Kar Den.
Asre Haazir Ke Pechidah Masaail Ka Sharaee Hal
Murattib Qazi Mujahidul Slam Sahab Rahmatullahi Alayhi Safah 189 / Ba Hawala : Fatawa Zakariyah 6/732
Agar Mareez Saans Jaari Rakhne Ki Mashin Par Ho, Aur Doctor’s Ne Mareez Ki Zindagi Aur Fitri (Qudrati) Taur Par Saans Ka Nizam Dobarah Chalu Hone Se Maayusi Zaahir Kar Di, To Wurasa Ke Liye Jaiz Hoga Ke Saans Jaari Rakhne Ke Machine Alahida Kar Den.
Naye Masail Aur Islami Fiqah E Aecedamy Ke Faisle. Safah 219
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh : 22 Muharramul Haraam 1440 Hijri.
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad E Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.