Language
Click below for languages:
Sana Dua Padhne Se Pehle “sana” Kehne Se Namaz Ka Hukm
⭕AAJ KA SAWAL No.4102⭕
Namaz me
“Sub’hanakAllaahumma……” dua se pehle madrase ki aadat ke mutabiq
“Sana Sub’hanakAllaahumma……” padhne se kya namaz fasid ho jayegi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
“Sana” dua ka unwan ( heading) hai, usey nahi padhna chahiye.
Phir bhi agar padh liya to namaz fasid nahi hogi.
isliye ke har woh lafz jo qur’an ya hadees me Allah Taala se duaa maangne ke liye aaya ho use padhne se namaz fasid nahi hoti.
📗DARUL IFTA JAMIATUL ULOOMUL ISLAMIYA BINNORI TOWN
BA HAWALA SHAMI 1/523
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India