SAR KE BAAL KATWANE KA TAREEQAH

SAR KE BAAL KATWANE KA TAREEQAH

AAJ KA SAWAL NO.1989

Sar ke baal katane ka kya tareeqa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Sar Ke Baal Katane Me
Is Baat Ka Lihaz Rakhna
Zaruri He Ke Sar Ke Kuch
Hisse Ke Bal Katana Or
Kuch Hisse Ke Baqi Rakhna
Haram He,

Jaise: Sirf Samne Ke Bal
Katana Or Baki Chhod Dena
Ye Haram He,

Magribi Tehzib ( Western
civilization ) Ki Jaal Me
Fasne Walo Me Mukhtalif
qism Ke Balo (Hair Styles)
Ka Riwaj He, Jinme Screw
Cut, Buzz Cut, Under Cut
Wagerah Shamil He, To Yaad
Rakhe Ke Ye Sab Tariqe
Haram Or Allah Ki Narazgi
Ka Sabab He.

Baal Katane Ka
Durust Tariqa Ye He Ke Har
Taraf Se Barabar Baal Kataye
Jaye, Chhote Bade Na Ho,
Ya Fir Pura Halaq
(Mundwana) Karaya Jaye,
Aurton Ko Baal Katana Bilkul
Hi Jaiz Nahi, Agarche
Shohar Hukm Kare Tab Bhi
Durust Nahi, Ha Koi Bimari
Paida Ho jaye Jiski Wajah
Se Katwana Zaruri Ho jaye,
To Katane Me Koi Haraj Nahi,

MUFTI BANDE ILAHI QURESHI
Khadim-e-Quran
Madresa Madinatul ilm
Gandevi

قطعت شعر راسھا اثمت و لعنت ، زاد فی البزازیة : و ان کان باذن الزوج ؛ لانہ لا طاعۃ لمخلوق فی معصیۃ الخالق… الخ (رد المحتار ، 6/407 ، باب الحظر و الاباحۃ)
نیز دیکھیں (البحر الرائق ، کتاب الکراھیۃ 8/375)

http://annidaislamic.com/sar-ke-bal-katwane-ka-tariqah/

و الله اعلم بالصواب
TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon hanfi

Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *