SHADI KA MEHNGA CARD CHHAPWANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.1984⭕

Shadi ka qeemti dawat naama jo 20 rupiye se lekar 100 rupiye balke is se bhi mehnga log chhapate hai kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Dawat naame ka maqsad sirf likh kar dawat pahonchana hai taa ke maduoo (jis ko dawat dee gai hai use yaad rahe aur mahfooz rahe) ye kaam 2 rs ke dawat naame, card se bhi ho sakta is se zayada kharch karna israaf kehlayega jo mana hai aur jee khush karne ke liye bataure zeenat apni haisiyat ke mutabiq, qarza liye bagair, tafakhur (ek dusre se aage badh kar badai jatane) ki aur riyakari ki niyyat bagair kuchh mehnga bhi chhapwa sakte hai lekin ye sharaait aaamtaur Pat paye nahi jati niyyat par qabu ye har ek bas ki baat nahi hai us ke liye buzrugon ki suhbat, namaz, zikro tilawat ka aehtamam zaroori hai aam taur par Is me kotahi log karte hai aur tafakhur dekhlawa wagairah kharabiyan aa hi jata hai aesee surat me mehnga card chhapana kabeerah gunah hoga lihaza is se bachna zaroori hai Shadi ko jitna kam kharch me karenge utni Hi barkat ki gaaranty the hadees me dee gai hai.

📗AHSANUL FATAWA AUR SHADI SUNNAT KE MUTABIQ KIJIYE SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
28 JUMADUL AAKHAR 1441 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *