Shadi Me Tohfe Ke Len-den Ki Na Jaiz Aur Jaiz Surat




Language

Click below for languages:

 

Shadi Me Tohfe Ke Len-den Ki Na Jaiz Aur Jaiz Surat

⭕AAJ KE MASAIL N.3418⭕
A.
Shadi me khane ke baad paise ka cover, nayota, hadya, chandla, vehvar dena kaisa hai?
B.
agar koi den to to mana karne ki aur lene ki kya surat hogi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Faqeehul asr hazrat mufti rashid ludhyani rahmatullahi alayhi tahreer farmate hai aese nayote me chand kharabiya hain.
1.
Ye hadya (vywahar, chaandla, ) ki raqam ya saman zabardasti wasool kiya jata hai, is taur par ke na dene walon ko bura kaha jata hai.
(aajkal to nikalne ke raste par table hee laga diya jata hai aur nam likhe jate hai, isliye aadmi sharma sharmi me na dene ka irada ho to bhi de deta hai, sharma me dalkar dili razamandi ke bagair wasool karna bhi jaiz nahi)

2.
Dene wale ki niyyat shohrat aur nam kamane ki hoti hai, aesi niyyat se jaiz kaam bhi na jaiz ho jate hai.

3.
us rasm ko farz aur wajib ki tarah pabandi aur aehtamam se ada kiya jata hai
(haisiyyat ya irada na ho to bhi qarza le kar dete hai)
halan ke is qism ki pabandi aur zaroori samjhne se jaiz aur mustahab kaam ko bhi chhod dena wajib ho jata hai.

4.
Ye raqam aur saman ba qaida likha jata hai, jin ka moqe par ada karna zaroori samjha jata hai, aur sakht zaroorat ke bagair qarz ka len dain na jaiz hai.
qarz hone ki soorat me us ki adaygi, maut hone ki surat me us me wirasat ki taqsim, us ka istiamal aur intiqal ke baad ayindah ye qarza kis ko ada kiya jaye is ke bahut se pechidah masail khade ho jate hai, jo muftiyan wa ulama e kiram se maloom kiye ja sakte hai.

lihaza ye len-den na jaiz hai.

📗KHARABI 1 SE 4 AHSANUL FATAWA 5/148 AUR NO.5 MARIFUL QURAN AYAT SE MAKHOOZ
B.
.agar koi de to achchhe andaz se uzr kar de fir bhi zabardasti kare to kahe ke, agar aap ka dil pandrah bis din baad bhi chahe to us waqt de dena.

🗃️ ONLINE DARUL IFTA DEWBAND

Is bare me baaz jaga ka urf alag hota hai ke wahan ke log dawat dene me hadya tohfa lene ki na niyyat karte hai na us ke lene ke table lagate hai.na dene wale dene ko zarooree samjhte hai balke muhabbat paida karne ya us ke madad aur ta’woon ki niyyat se apni haisiyat ke mutabiq deta ho aur lene wala us ko likhta na ho aur koi na de to us ko bura na samjhata ho to ye hadye lain dain jaiz balke sunnat ke daire me aayega aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke hadye ka aapas me lain dain karo is se aapas ki muhabbat badhti hai lekin aese ilaqe bahut kam hai fir bhi Jahan ka jo urf ho us ke mutabiq hukm lagaya jayega.har shakhs ke liye har jaga na jaiz ka hukm lagana bhi saheeh nahi
AL MASAILUL MUHIMMA*

Not

*Is bare baaz log ise sood aur haraam kehkar bahut sakht hukm laga dete hai jo saheeh nahi.
Masalan Baz log is niyyat se dete hai ke mere wahan taqreeb hogi to ye is se zayada dega aur baaz log jitna us ne diya tha us se zayada dena zarooree ye behtar samjhte hai to aesee niyyat se lain dain karna suratan sood hai lekin haqeeqatan sood nahi kyun ke is me lene dene se pehle se zayadati ki shart nahi hoti isliye ise halal sood kaha gaya hai.
ibne Abbas radeeallahu anhu ki riwayat ke mutabiq aese lain dain se na sawab milega na gunah.
Ahkamul quran jisasa razi Surah e room ayat 39
و اللہ اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *