SHADI SHUDA SE NIKAH

SHADI SHUDA SE NIKAH

⭕AAJ KA SAWAL No. 2963⭕

Meri ladki ki shadi jis shakhs se ki thi woh us ke sath sirf 3 din rehkar chhodkar kahin chala gaya hai us ka koi Ata pata nahi hai na koi phone aata hai na khat.hame ye bhi pata nahi hai ke woh zinda hai ya mar chuka hai aur meri ladki ke nikah ke paigam aate hain to me apni ladki ka nikah kisi se kar sakta hun?
Hamare muhalle me ek aurat ka bhi aisa masala huwa tha to us ne doosra nikah kar liya hai.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jab tak ke pehla shauhar talaq na de aur us ki iddat puri na ho doosre kisi se nikah jaiz nahi.Shauhar ko mazeed do saal dhoonda jaye aur intizar kiya jaye na mile to islami adalat yani imarate shari’yyah ya Darul qaza se faisla karaya jaye.
Pehle shauhar se talaq lekar iddat khatm karne se pehle doosre kisi shakhs se nikah saheeh hota hee nahi agar kisi ne kiya bhi ho to un dono ka Miya bivi ki tarah sath rehna haram hai aur talluqat zina me shumar honge.

📕MAHMOODUL FATAWA 4/406 AUR

📙HIDAYAH SAANI SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *