SHOHAR (HUSBAND) KE ZIMME BIWI KE HUQOOQ

SHOHAR (HUSBAND) KE ZIMME BIWI KE HUQOOQ 1506

‘Shohar Husband ke zimme biwii ke huqooq’ aur aadaab kya kya hain?

Us baare me badi kotahi ho rahi hai.

 

JAWAB:  حامدا و مصلیا و مسلما

Qura’an wa hadees ki roshni me “Shohar Husband ke zimme biwii ke huqooq Jo” hain woh hasbe zail hain.

  1. Shauhar Ka bivi ke samne achchhi haalat me rehna (Saaf suthra khushbudaar rehna).
  2. Shauhar ka apni bivi ko wohi cheez khilana jo khud kha raha ho.
  3. Aurat ko usee me’ayar (category) ke kapde pehnana, jis mea’yar ke khud pahan raha ho.
  4. Narmi se baat karna.
  5. Bivi se husne sulook karna, aur usse pahonchne wali takaalif ko bardasht karna.
  6. Ghar ke kaam-kaaj me bivi ka haath batana.
  7. Jaiz wa’adon (promises) ko poora karna.
  8. Ek se ziyadah biviyon me baraabari karna.
  9. Na munasib kaamo par pehle naseehat karna.
  10. Nasihat se fayda na ho to sone ki jagah ko alag karna.
  11. Agar yeh tariqah bhi mufeed saabit na ho, to hudoode shareeat me reh kar kuchh halki si pitayi karna.
  12. Aurton ko munh par na marna.
  13. Biwi ki saheliyon aur rishte daron ka ikraam karna.

و الله اعلم بالصواب

“Shohar Husband ke zimme biwii ke huqooq”

SUNANO A’ADAAB SAFA 272

ISLAMI TAREEKH : 25 MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *