TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL
⭕AAJ KA SAWAL NO.2902⭕
A. Tabeere tashreeq kab se kb tak kehni hai?
B. Kis par wajib hai?
C. Takbeere tashreeq bhul jaye to kya hukm hai? Kab tak Padh sakte hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Takbeere tashreeq 9 zul hijjah ki fajr ki namaz se
lekar 13 zul hijjah ki asar tak Har farz amaz baad foran ek martaba 5 din me kul 23 farz namaz baad kehni wajib hai is saal hizri 1443, san 2022 me india aur is ke atraf ke mulkon me sanichar ki fajar se lekar budh ki asar tak padhhna wajib hai
B. Mard ho ya aorat, muqeem ho musafir ba jamat namaz pade ya tanha chahe masbooq ho (rakat chhuti ho) mard ko buland aawaz se aur aorton ko aahista aawaz se padhni chahiye.
C. Baatchit na ki ho aur wuzu janbujh kar na toda ho to jab bhi yaad aaye padh le agarche Tasbeeh aur duaa mangne ke baad yad aaye balke sina qible se fir gaya to bhi aehtiyatan padh le han masjid se bahar nikal gaya ya janbujh kar wuzu tod diya ya baatchit kar li ho to ab wujoob saqit ho gaya ab na kahe.
و الله اعلم بالصواب
📗KITABUL MASAIL 3/334 se 335
📘DURRE MUKHTAR 3/61,63
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India