AAJ KA SAWAL No. 2798
Qadyani aur shakili se talluqat rakhna un ko apni masjid me aane Dena kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Is haqeeqat se kisi ko inkaar nahi ho sakta ke ek sachche aur pakke musalman ke liye imaan se ziyaadah koi ne’amat azeez nahi, Islaam hi sab se badi ne’amat aur qeemti daulat hai, Ye ne’amate imaan musalmaano ko Aaqaaye do jahan nabiye aakhiruz zaman (sallallaahu alaihi wasallam) ki zaate baa barkat se mili hai, Isiliye tamam ehle imaan Aap(sallallaahu alaihi wasallam)se waalihaana aqeedat wa muhabbat ka rishta rakhte hain, Musalmaano ko neamate iman se mahroom karne aur muhammade arabi'(sallallahu alaihi wasallam) se unke rishtaye muhabbat wa aqeedat ko khatm karne ke liye khud islaam hi ke naam par mukhtalif gumraah firqe muslim muaasharah me sargarm e amal hain, Jese khud ko” AHMADIYAH MUSLIM JAMAAT” keh ne waala ” QAADYAANI FIRQA” jo ek lambe arse se apne kufriya aqeede ko phela raha hai, Isi tarah musalmaano me SAKEEL BIN HANEEF ke naam se ek dajjaali fitne ne sar uthaaya hai, Shakil bin haneef apne baare me mahdi aur Eisaa maseeh hone ka daawa karta hai, Ahaadees me hazrat mahdi ke zahir hone aur hazrat Eisa (alaihissalaam) ke nuzool ke mutalliq bayaan kardah alaamaat aur tafseelaat ki gumraah karnewali taawilaat (matlab) nikalta hai,
Is liye tamaam musal’maano par waazeh kiya jataa hai ke SHAKIL BIN HANEEF ke mahdi aur eisaa maseeh hone ka daawa sarasar jhoota hai, Ye shakhs khud bhi kaafir hai aur daairaye islaam se khaarij (baahar) hai, Aur jo log is ke haath par ya is ke numaaindo ke haath par bait hokar shakeel bin haneef ko mahdi aur eisa maseeh maan chuke hain, Wo bhi murtad aur daa’iraye islaam se khaarij hai,(in se nikah karna,in ke pichhe namaz Ya in ki janaze ki namaz padhna,in ko zakat,fitra dena bhi jaiz nahi) kyunki in ke dawon se quran aur hadees ka khul kar inkar lazim aata hai Musalmaan bhaa’iyon aur behnon ko baa khabar kiya jaata hai ke wo shakeel bin haneef ke dajjaali fitne se hoshiyaar aur chokanna rahen, Kahin bhi is fitne ki taraf se daawat dene waale log nazar aawen to ulama se rujua karen, Is fitne ke pero kaar se koi mel jol naa rakhen,( in koi cheez khareedna bechna ,in ke pichhe namaz Ya in ki janaze ki namaz padhna,in ko zakat,fitra dena bhi jaiz nahi.)
Na un se rishta naata rakhe aur nahi unhe apni masaajid me aane de, Neez tamaam muaamlaat me apne deen wa imaan ki hifaazat ke liye un se be ta’alluqi barte.
و الله اعلم بالصواب
TAMAM FIRQON KE ULAMA KE NAAM NICHE LIKHE HAI.
1.Mufti Abul Qasim nu’amani muhtamim Darul uloom devband.
2.Maulana khalid saifullah rahmani secretary all india muslim prosnal low
Maulana Shah aalam Gorakhpuri naib.. Darul uloom devband
3.qazi muhammad Kamil qasmi
4.Maulana shameem Ahmad qasmi
5.Maulana maqhoor Ahmad qadri nurani
6.Maulana jalulud deen umri
7.Mufti muhammad mukarram ahmad
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India