AAJ KA SAWAL NO.2610
Taveez Dhaga karna jayaz hai ya na-jayaz? aur isme shariyat ka kya hukm hai ?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Kisi ko nuksan pahunchane ke liye jo taveez kiye jate hain unka hukm wohi hai jo jaadu tona ka hai, ke inka karna aur karvana haraam aur kabeera gunah hai, balke isse kufr ka andesha hai,
Albattah taveez agar kisi jayaz maqsad ke liye kiya jaye to jayaz hai, iski 3 sharte hain,
1- Kisi jayaz maqsad ke liye ho, najayaz maqsad ke liye na ho.
2- Iske alfaz kufr aur shirk par mushtamil na ho, ya’ani isme koi gunah, shirk ki baat na likhi ho aur jiska mafhoom ma’alum na ho to najayaz hai.
3- Inko Mo’assir biz’zaat (asal taweez hee me taaqat hai) na samjha jaaye, inki taasir bhi Allah ke hukm ke taabe hai,
Behatreen Amal
1- Behtar yah hai ke Taveez wagairah se doori rakhe aur Duaon ka ahtemam kare,
(Taveez to un bachcho ke liye hota hai jo duwaen nahi maang sakte, ke likh kar unke gale me latka diya jaaye,
Jo duwaen mang sakte hain apni har pareshani ko duwaon ke zariyah hal karvaye)
2- Taveez ke ma’ani “Panaah talab karna” hai, aur har Musalman Mard, Aurat ke liye Behtreen Taveez har farz namaz ke baad, Surah Ikhlas (Qulhuvallah), Surah Falaq , Surah Naas aur Aayatul kursi padhna hai.
3- Isee tarah “Manzil” Jo Qur’an e Kareem ki ayaten hain, Nazar, Jaadu, aaseb (jinnat ka asar) wagirah se hifazat ka behtreen amal hai.
Aapke masail aur unka Hal,
Jild-1,Safa no, 350
و الله اعلم بالصواب