Tight (chust) Izar Pant Pahenna
⭕AAJ KA SAWAL NO.3314⭕
Aisi izar, legis ya pant jo chust ho Aurton ya mardon ko pahenna kaisa hai ?
Is me namaz ka kya hukm hai?
ohrani (dupatta) ke andar legis dhhak jaati hai isliye Namaz ho jayegi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aisi chudidar izar ya legis, pant wagairah jo chust (tight) hone ki wajah se satar ki babnawat (unch nich), size nazar aati ho pahenna Aurat mard dono ke liye makruhe tahrimi [na jaiz aur kabeerah gunah] hai us ki taraf dekhna bhi haraam hai albattah satar ka rang nazar na aata ho to namaz karahat ke saath adaa ho Jayegi.
orhani-duppata pehanne ke ba-wajood pindali wala hissah nazar aata hai woh bhi aurat ke liye satar me dakhil hai isliye nanaz makruh hogi.
📗FATAWA QASMIYAH BAHAWALA 7/320
📘FATAWA
MAHMOODIYAH MERATH 19/711
📕AHSANUL FATAWA 7/28 BAHAWALA
📙SHAMI 5/234
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India