Uniform Civil Code Ki Mukhalifat Imanee Fareeza He
⭕AAJ KA SAWAL No.3391⭕
Hamare mulk me uniform sivil cord lane ki baat ho rahi hai aur low commission ne desh ke tamam logon se rai mangi hai ke ye qanoon ham laye ya nahi to is bare me raai dene ka sharee hukm kya hai? is ki aakhri muddat 28 July hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Hamara prosnol low quran aur hadees se sabit hai jo allah tala aur us ke rasool sallallahu alaihi wasallam ka banaya huwa hai jo qayamat tak ke halaat,tabdeeli aur taraqqi ko dekh kar banaya gaya hai aur ye tamam qanoon insani ki fitrat, saheeh tabee’at ke bilkul muwafiq hai is me mard,aurat,bachche burhe har ki ri’aayat aur huqooq ka pura khayal rakha gaya hai is me tabdeeli karne ka ikhtiyar hamari shareeat me kisi ko bhi nahi hai aur tabderl karna mulk ke dastoor – bandharan ki qalam- Article 25 wagaira ke bhi khilaf hai lihaza is qanoon ki mukhalifat karna imani aur mulki fareeza hai is par raay na dekar khamosh rehne me gunah ka mustaheeq ho sakta hai.
lihaza niche dee gai link se jinhon ne abhi tak email nahi bheja hai woh khud bhi bheje aur ghar ke har fard se bhijwaye Allah tala hame taufeeq ata farmaye
Mail Karne Ke Liye Click Kare
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India