VAZAN PAR JANWAR KO KHAREEDNA

VAZAN PAR JANWAR KO KHAREEDNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2293⭕

Vazan Karke Janwar ko khareedna kaisa hai? ismein Dhoka Nahin Hota Hai Kyun ke wazan se qeemat ka itminaan ho jata hai.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Janwar tol Ke beche jaane wali cheezon Mein dakhil Nahin Hai is liye hidayah, fathul qadeer aur Alamgiri Vagairah mein is muaamle ko Na Jaiz likha hai, Na Jaiz Hone ki vajah yeh Hai Ki muaamle se pehle na janwar ka vazan Maloom hota hai na uski qeemat Maloom hoti hai, To yeh Muaamla majhool (na Maloom) Ho Gaya, Lekin Jab Janwar ko Tol liya Jaaye us Waqt uska vazan aur qeemat maloom hokar jahalat khatm Ho Jaati Hai.
Rahi Baat Vazan se janwar ka Mukammal Gosht Maloom Nahin Hota Hai, janwar Sukad kar ya Sans phula kar ghatta Badhta rehta hai to yeh thodi see jahalat Muaaf hai urf Yaani Bazar ka Aisa riwaj jis mein khareedar aur Bechne wale donon Razi hain, lihaza yeh Muaamla aakhir kar saheeh ho jayega, Darul Uloom Deoband ka jaise Na Jaiz hone ka Fatwa hai vaise hi oopar Dee gayi tafseel ke sath jawaz ka Fatwa bhi mawjood hai.us par bhi amal ki gunjaish hai.
Lekin Qurbani Ek Ibadat Hai jis ko saheeh tareeqe se adaa karna hee taqwa hai jo us ka maqsood hai lihaza jab tak ho sake is ikhtilaafi tareeqe se Bachna chahiye aur aehtiyat ka pehlu ikhtiyar karna chahiye.

Lekin koi wazan se khareede to use bhi na jaiz nahi kaha jayega us ki qurbani saheeh adaa ho jayegi

📚 JAWAZ KE QAAILEEN
AHSANUL FATAWA
KITABUN NAWAZIL
ONLINE DEOBAND KA DOOSRA FATWA
FATAWA USMANI 3/99

📚 NAA JAIZ KEHNEWALE
FATAWA RAHEEEMIYAH 10/48
ONLINE DEOBAND KA PEHLA FATWA

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
26.ZEE QADAH 1443 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *