SAWAL
VOTING KI SHAREE HAISIYAT. SAHEEH UMMEDWAR NA HO TO?
vote dene ki sharee haisiyat kiya hai?
Baasalahiyat aur amanatdar ummedwar na ho to vote dena chahiye ya nahi?
JAWAB
Hazrat mufti muhammad shafeea Rahmatullahi alayhi likhte hai jis ka khulasah hai ke vote kee sharee haisiyat 3 hai.
- wakaalat-jis ummedwar ko ham vote de rahe hai ham use apna wakeel-naaib bana rahe hai fulan hamaree zaroorat aur khidmat aap hamaree janib se anjaam de dena.
- shahaadat-ham is baat kee gawahee dete hai ke fulan ummedwar fulan aohde aur mansab ke laiq hai khidmat kee salaahiyat rakhnewala aur amanatdar hai.
- sifarish-apne bade haakim-governer ko ye darkhast karna ke is shakhs ko fulaan aohdaa aur mansab de diya jaye to behtar hoga.
lihaza jo ummedwar dusre ummedwaron ke muqabalah in haisiyaton ki aehliyat-salaahiyat rakhta ho us ko vote dena wajib hai.
AESA UMMEDWAR JIS ME IS AOHDE KI AEHLIYAT AUR SALAAHIYAT DUSRE KE MUQABALA ME NA HO YA KAM HO US KO SIRF RISHTEDARI, DOSTI, QAUMIYAT KI BUNIYAAD PAR VOTE DENA GUNAAH HAI
aur
VOTE HEE NA DENA GAWAHEE CHHUPANE KE BARAABAR HAI
aur agar zalim hakim musallat ho gaya to ye naa denewale aur gair laiq ko denewale bhi us ke jitaane me shareek shumaar honge us ke gunaah aur zulm ka wabal un par bhi hoga lihaza har musalman mard aurat ko saheeh ummedwar na ho To bhi apna nuqsan kam karne ki niyyat se bhi vote dena sharan zarooree hai.
JAWAHIRUL FIQAH SE MAKHOOZ