Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm

Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm

sawal

Zil hijjah ke chand hone ke baad baal aur nakhoon kaatna kaisa hai ? Iski kya maslihat wa hikmat hai ?

Jawab

Zil hijjah ke chand hone ke baad jiske zimme qurbaani ho usey baal aur naakhoon eid ki namaaz aur us ki qurbaani hone tak na kaatna *mustahab hai.*taake qurbaani ka janwar uske har har juz-hissah ka badal aur fidyah  ho jaaye, aur allah ta’ala ki rahmat se us aadmi ke jism ka koi hissah mahroom na rahe,

Jin logon ke zimme qurbaani nahin hai woh bhi qurbaani karne walon ki aur haj me gaye huwe hajiyon ki mushaabahat (copy) ikhtiyaar karenge to woh bhi un par naazil honewali rahmat se insha allah mahroom na rahenge,

Lekin koi apne baal aur nakhoon katega, to na gunegaar hoga, na qurbaani me koi kharaabi aayegi, is par wajib ki tarah amal karna aur aisa na karne walon ko tokna sahih nahin hai,

Jo cheez jis darjah me sabit ho usko usee darjah me rakhna chahiye.

Note: jiske zere naaf aur bagal ke balon par 40 roz guzar gaye ho to woh shakhs is mustahab par hargiz amal na kare agar woh katne me 40 din se ziyadah takheer karega to gunehgar hoga.

Mirqaatul mafaateeh 3/306

Masaaile qurbaani , islaahee khutbaat se makhooz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *