AAJ KA SAWAL NO.2743
Video game khelna kaisa hai ? is me na shart hai na in’aam ka laalach balke nishanah baazi driving wagairah ki practice hoti hai vacation me bachchon ka jee bahelta hai aur badon ka time pas ho jata hai
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Haz. mufti yusuf ludhyanvi shaheed Rahmatullahi alayhi tahreer farmate hain ke video game dekhne walon ke mushahidah se jahaan tak pataa chala aur haqiqat mal’alum huyi yeh khel chand wuzuahat se shara’an jaiz nahin.
Is khel me deenee, jismani koi faidah maqsud nahin hota aur jo khel in donon faidon se khali ho woh jaiz nahin.
Is me waqt, rupya (mb) zayea hoti hai.
Namaz,zikr se gafil karnewala hai.
Sab se sakht nuqsaan yeh hai ke is khel ki aadat padne par chhodna mushkil hota hai (vakil,doctor aur imam ban jata hai lekin nahin chhutti hai)
Ba’az game me music hoti hai jis ka sunna haraam hai.aur tasweer bhi hoto hai jis ka bila zaroorat istiamal mana hai
Is khel se bachchon ko agarche dili khushi aur lazzat hasil hoti hai lekin na-jaiz chizon se lazzat hasil karna bhi haraam hai balke ba’az fuqahaa (masail ke maahir) ulamaa ne kufr tak likha hai.
is se bachchon ka zahan kharaab hota hai mardhad sab ki maut aur sab ke nuqsan me apni kamyabi ka mijaz Banta hai
taalim-tijarat,noukri aur ghar ke zaruruli kaamon me khalal waqea hota hai.
bachchon ko padhai aur dusre faidah wale kaamon me dilchaspi nahin rehti.
Bachcha maa bap ka naafarmaan ban jata us khael ke dauran koi bhi kaam karne ko kaho nahin karega.
zayada khelne ki wajha se mizaj me chidchida pan paida hota hai aur gussa jaldi aata hai.
log apne farig waqt me aksar video game khelne ki wajha se jismani warzish wale khel se mahroom rehte hai jis se un ke jism ki charbi badh kar gair zarooree wazan badhta hai.
Aaj kal gaim ki achchhi tarah khelne ke liye company paison se khiladi ke liye bandook, jakit wagairah saaman online paisa dene se bechti hai bachche apne Walid ka acaunt aahista aahista khatm kar dete hai navjawan apna jama kiya huwa rupiya is tarsh fizool barbad kar dete hai.
Sadi gain khelte khelte fir aesi gaim bhi khelne lagta hai jis me Paisa lagane ke baad har jit hoti hai ye juwa jo ke haraam hai
in mazkoorah wujoohat ki binaa par yeh khel baari ta’ala ke irshaad ka misdaaq hai “baz log apni jahaalat se khel tamashe ikhtiyar karte hai aur us me paisah kharch karte hain taake allah ki raah se logon ko bhatkaawe aur deen ki baaton ko khel tamasha banaate hain inhi logon ke liye zillatwala azaab hai (surah e luqmaan ayat no.6)
Haz. Hasan rah. “lahwal hadees” ke mutalliq farmate hain ke aayate mazkoorah me lahwal hadees se muraad har woh chiz hai jo allah ki ibaadat aur us ki yaad se hataanewali ho masalan fuzul khel kud,fuzul qissah goi,jokes,hansi mazaaq ki baten fuzul bahas aur gaana bajana wagairah
video game me yeh saree kharabiyan mavjood hain isliye video game naajaiz hai isme waqt aur paisaa lagaana naajaiz hai aur is ko chhod dena laazim-zaruri hai
AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL PURANA NUSKHA 7/336
NAYA TAKHRIJ SHUDA NUSKHA 8/442 SE MAKHOOZ MAA IZAFA AZ AHQAR
و اللہ اعلم
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA