AAJ KA SAWAL No. 2795
Aaj kal baaz ulama mobile me apne icon, tweeter , Facebook wagairah par tasweer rakhte hain baaz jagah masjid me bhi ulama ke bayan ki video utarne lagi hai ulama khud bilkul rokte nahi hain halan ke bade bade ulama ki usee mavzooa par taqarir YouTube par mavjood hai lihaza Bila zaroorat apni tasweer rakhna ya video masjid me utarwane ka kya hukm hai?
Baaz ulama is se bahut bachte hain aur baaz bilkul ehtiyat nahi karte aisa kyun hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Shaikhul Islam hazrat mufti Taqi usmani sb db tahreer farmate hain ke Hamaare nazdeek tasweer ke bare me rajeh raay ye hai ke jab tak tasweer paayedaar (fix taur par) kisi cheez par chhapi hui na ho, Un par tasweer ke ahkaam jari nahi hote, lekin ek lihaaz se ehtiyaat pehli raay (bila majboori tasweer jaiz na ho) us me hai, jaisaa ke zaahir hai, Aur doosre lihaaz se hame ehtiyaat doosri aur teesri raai me maalum hoti hai, (kal ke fatwe part 1 me 3 raay guzar chuki) Kyun ke deene islaam par dush’manaane islaam ki yalgaar ( hamle )electronic media ke zariye jo munaz’zam tareeqe se ho rahi he ,Us se difaa karna bhi ummat ki zimme daari hai, jis se hat tal imkaan zimma bari hone ke liye electronic media, Television ke aise istimaal ko sab ke samne laane ki zarurat hai , jo be hayai aur gunahon se paak ho,
lihaaza jo hazraate ulamaa e kiraam mazkoorah baala teen aara mese kisi se muttafiq hon, Aur us par amal karen wo sab qaabile ehteraaam hain, Aur un mese koi bhi hamaare nazdeek bura kehlane ke mustahiq nahi.
Fatawa darul uloom zakariya me hazrat mufti razaul haq sb db likhte hain
Pehli raay India ke aksar bade darul ifta ki hai ke tasweer har haal me aur surat me tasweer hee ke hukm me hai bila sakht zaroorat jaiz nahi chahe nayi technology ki tasweer ho daleel me kehte hai ke koi electronic tasweer ki leptop par puja shurooa kare ya us but ki tasweer ka bord masjid me lagaye to yun kehkar ke ye to aqs hai jami hui tasweer nahi jaiz hoga?
Koi talwar ke bajaye aag ki dhar se, mizail se qatl kare aur yun kahe ke us me insan ke kaam ka dakhal nahi jaiz hoga? lihaza haraam woh haraam hee rahega chahe us ka zariya badal jaye
Chunaan che ulamaay e kiraam ki ye jamaat kehti hai ke new technology se tasweer lene waale do qism ke log hain,Ek wo jo galat maqaasid ke liye ya fuzool tasweeren lete hain, Unka ye kaam na jaaiz hai, Is liye ke is tasweer lene me deeni zarar wa fitna hai, Aur ye kaam akhlaaq ko bigadnewala hai, Aur be shumaar fitnon ka darwaaazah hai, Is liye ye najaaiz hai,
Dusri qism wo log hain jo saheeh maqsad ke liye ya kisi zarurat ke liye tasweer banwaate hain,
Agar nayi machinery ki tasweer ko ham haraaam tasweer ke andar daakhil karden to ummate muslimah harje azeem me mubtala ho jawegi, jis se badon aur ulamaa se lekar ek adna musalmaan tak gunaah se nahi bach sakenge, Uski misaal mulaahazah farmaawen ,Taake harje azeem samajh me aajaawe,
Be shumaar ulama sulaha nafli hajj,Dost wa ahbaab ki mulaaqaat,wa’az wa nasihat ke liye pasport ke saath beruni mamaalik ka safar karte hain,Passport ,Visa ke liye photo zaruri hai,Is liye photo nikal waate hain,Aur istemaal karte hain,mazkura baala safar mustahab hai ya sirf jaiz,Agar nayi machinery ki tasweer ko ham haraam keh de to kiya mabaah ya mustahab ke liye haraam ka irtikaab jaaiz ho saktaa hai? Bilkul nahi, Agar beruni mustahab safar ke liye daadhi ka mundwaana zaruri qaraar diya jaawe to kiya jaaiz ho jaawega?bilkul nahi, Is liye ulama ki is jamaat ke nazdeek mojodah tasweer jo jadeed aalaat se li jaati hai aur aage usme safaa’i (tasweer dhona) wagerah ka insaani dakhal nahi hota, Us ke nazdeek tasweer nahi,lihaza
bilkul jaiz ki raay rakhne wale Apni pehchan ke liye icon,wagairah par rakhen ba sharte ke khud numai,shohrat ki niyyat na ho aur is ka Talluq dil se hai lihaza hame kisi se badguman hone ya aetraz ka haq nahi lekin us se hame bachna behtar hai rahi bat masjid me video utarwane ki to pehli raay ke mutabiq jaiz nahi hai lihaza Allah ke ghar me agar us raay rakhnewale ulama ho to un ki raay ka bhi aehtaram karte huwe bachna behtar hoga lekin koi kar hee Raha hai to woh bhi bura bhala kehlane ke laiq nahi kyun ke un ke pas bhi apne dalail hai jaise ke upar guzar chuka
Haan agar kabhi kahin behayai aur deeni zarar par woh mushtamil ho to fir na jaiz hoga.
FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA JILD 7 SAFA 688 SE 693 SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India