Ladki Walon Ki Taraf Se Waleema | Halal Haram




Language

Click below for languages:

 

Ladki Walon Ki Taraf Se Waleema | Halal Haram

⭕AAJ KA SAWAL NO.3419⭕

Ladki walon ko waleema karna kaisa hai?
Suna hai Ke haraam hai, un ki dawat nahi khani chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ladki walon ki taraf se ladke walon ke muqabale me waleema karna sabit nahi.

han, agar ladke wale ladki ko lene ya shadi me shirkat karne bataure mehman aaye ho, aur un ko bulaya bhi gaya ho, fir woh kahana kahan khayenge?

mehman ka ikraam karna to shareeat ka hukm hai,

Huzoor ﷺ apni beti ke yahan jate the to beti aap ﷺ ki khatir tawazooa karti thi,

lihaza un mehmano ke khilane ka intizam kar sakte hai.

📗FATAWA MAHMOODIYA 12/142

Lekin aaj kal ladken walon ki tarah bada khana ladki wale bhi dawat karte agar ye khana khandani dabao se ya ladkon walon ki zabardasti ya sharm me dalkar karaya jata ho to us ka khana jaiz nahi.

📪Jamia uloomul islamiyyah karanchi

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH : 23 JUMADIL OOKHRA 1445 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *