1 RAJAB KO DUAA QABOOL HONA
AAJ KA SAWAL NO.1662
Kya rajab ki 1 tareekh ko ibadat i fazeelat sabit hai aur duaa qabool hona sabit hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Rajab ki 1 tareekh ko ibadat ke fazail saheeh sanad se sabit nahi, baaz fazail shiyon ki kitabon me hai jo saheeh nahi.
Aur duaa ki qabooliyat sahaba se sabit hai.
Ek riwayat me hai ke 5 raton me duaa rad nahi hoti hai.
1.Rajab ki pehli raat.
2.15vi shaban ki raat.
3.jumaa ki raat.
4.eedul fitr ki raat.
5.yawme nahar baqraa eed ki raat.
Ibne asakir tareekhe dimashq 10/408
BAHISHTI ZEWAR
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
RAJABUL MURAJJAB 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.