Islami Naye Saal Me Kya Kare? | Islamic New Year








Islami Naye Saal Me Kya Kare?

⭕AAJ KA 2924⭕

Abhi islami naya saal 1444 aane wala hai naye saal ki khushi me hame kya karna chahiye?

Kya ek doosre ko mubarakbadi de sakte hain is me koi gunah to nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Islam ek saadgi wala deen hai us me gair qaum ki naqqali ho aisi baaton se aehtiyaat karne ki ta’alim hai aur din manane ki rasm na hona yeh uska mizaj hai isi liye hijri tarikh ki shuruat Hazrat Umar Raziyallahu anhu ke daur se shurua hone ke bawajood Hazrat Usman, Hazrat Ali wagairah sahaba Raziyallahu anhum se is baare me koi khaas amal saabit nahin,

Albattah ek duaa padhna saabit hai us duaa ko padh lena chahiye woh duaa yeh hai:

اَلّٰلھُمَّ اَدْخِلْہُ عَلَیْنَا باِلْاَمْنِ وَالْاِیْمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَ الْاِسْلاَمِ وَ رِضْوَانٍ مِّنَ الرَّحْمٰنِ وَ جِوَارٍ مِّنَ الشَّیْطَانِ

ALLAAHUMMA ADKHILHU ALAYNA BIL AMNI WAL IEEMAAN WAS SALAAMATI WAL ISLAAM WA RIZWAANIM MINAR RAHMAAN WA JIWAARIM MINASH SHAYTAAN.

📗AL MUAJAMAUL AWSAT

Aur ek doosre ko duaa dena aur nayi cheez ki mubarak baadi dene me bhi koi haraj nahin hai, jaiz hai mubarak baadi dena bhi barakat ki duaa hi hai, lekin sunnat se saabit nahin. uske liye koi khas alfaz bhi saabit nahin, lihaza gairon ki mushabahat na ho isliye na isme khushi manayi jaaye, na party dee jaye, na roshni ki jaye isee tarah alfaz ko khaas kiye bagair mubarak badi bhi de sakte hain aur duaa mangna aur dena har achchhe moqe par yeh islam me pasandeedah hai.

📗 (AL MUWASATUL FIQHIYYAH 14/100,

📄ONLINE FATAWA DARUL ULOOM DEOBAND SE MAKHOOZ IZAFON KE SAATH)

✅TASDEEQ
1. MUFTI JUNAID IMAM O KHATEEB MASJID E NOOR KOLABA MUMBAI
2. MUFTI FAREED KAVI JAMBUSAR
3. MAULANA SALIM MEMON GOREGAON
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *