Muharram Me Bayan Rakhne Or Sunne Ka Hukm
🔴AAJ KA SAWAL NO.2922🔴
Hamare yaha bahut si jagho par Muharram ke mahine me ulama-e dewband ke bhi bayan hote hai, to hum kiya Kare ?
🔵JAWAB🔵
Rabi-ul-awwal me 12 din or Muharram ke 10 din milad khani ko lazim kar Lena durust nahi. Aur qayam karna to Bahar haal be-asal hai. Agar in ayyam me majlis munaqid karna mufeed ho to mawlud khani ke bajaye muatabar ulama se wa’az karaya Jaye Jo tawhido sunnat ka dars de.
🔰Muhammad kifayatullah dehlwi rahmatullaahialyh. Mawlud murawwaja” ka hukm
👉🏻 Hamare ulama ne is mahine me kuchh sharait ke saath bayanat ki gunjaish di hai,
masalan sirf daswi Muharram ko na ho, shiyon ki tarah sirf zikr e shuhada, har qisam ki sahih galat rivayat ke zariye na ho, tarikh ke aehtemam ke sath masalan 1 hi se shuru or 10 Tak laziman Kare aisa na ho, balke mahe Muharram me logo ke ijtimaa ka faida uthate huwe bager taiyeen-e- tarikh aiyaam ke or sahih riaayat ki roshni me zikr-e- shahadat ke alawah islahi mazamin par bayanaat kiye Jaye, take awam galat logo ke paas bethne or khurafat me padne ke bajaye sahih jagah bethe or khurafat se bhi Bache rahe.
📗 MARGUBUL FATAWA
KITABUN NAWAZIL 1/512 se maakhuz
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.