SHOHAR KI IJAZAT KE BAGEIR MULAZIMAT

⭕AAJ KA SAWAL No.2630⭕

Mere shohar kamate nahi hain, na mera kharch saheeh taur par dete hain, na bachon ki ta’alim ke ikhrajaat adaa karte hain,

Baar Baar kehne ke bavjood koi tavajjuh nahi di. Isee liye majboor ho kar mene ek school me mulazimat ikhtiyar kar li hai. Isee se ghar ki zarooriyat poori Hoti hain.

Ab woh mujh par dabav daal rahe hain, ke tum mulazimat chhod do me mehnat mazdoori karunga.

Is soorat me shar’an mujhe kya karna chahiye? Kya me unki ijazat ke bageir mulazimat kar Sakti hun ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Asal me kamana mard ki zimmedari hai aur ghar ke andar ke kaam ko sambhalna aurat ke zimme hai.

Aap ke shohar ka mehnat mazdoori karne jee churana apni shar’ee zimmedari se bhagna hai. Isliye aam haalat me aurat ka shohar ki ijaazat ke bagair mulazimat karna jaaiz nahi.

Lekin agar shohar Apne faraiz adaa na karta ho, to shohar ki ijaazat ke bagair bhi aurat ke liye apni buniyadi zarooriyat ki pura karne ki garz se shar’ee parde ke saath mulazimat karna jaiz hai. (Jab shohar pabandi ke saath kamaa kar kharcha pura karna shurooa kar de us waqt mulazamat chhod dena zarooree hoga).

📗KITABUL FATAWA 9/325 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *