ASHOORAH ME ACHCHHA KHANA AUR ROZA RAKHNE ME TAKRAO

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1490⭕

Ashoorah ke din apne ahlo ayal par dastarkhan kushada karna chahiye ye riwayat muatabar hai? kyun ke ek taraf to achchha khilane ki targeeb hai aur dusri taraf saheeh riwayat se us din roza rakhna sabit hai to roze me achchha khana kaise khilayenge?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
is riwayat ke alfaz ye hai.
من وسع. یوم عاشورہ فی نفقتہ علی عیالہ وسع اللہ سائر سنتہ”
Jis me ashoora ke din apne ayal (bivi bachcho par kharch me wusat- kuchh zayada kharch kiya allah pure saal us par wusat karega)
Is riwayat me kahin bhi dastarHan ka ya khana khilane ka khas zikr nahi hai balke nafqa yani mutlaq kharch ka zikr hai nafqa me Bivi bachchon ko naqad paise dena, khane, pine, kapde, dawai wagairah zaroori tamam chezen dakhil hai aur iftari ke liye jitni bhi cheez khareedenge us ka kharch to din hi me ho jayega aur ashoora magrib baad hi shurooa ho jata hai to raat ko ya sahri achchha khana bhi khilaya jaye to bhi roze ke sath koi takrau na raha lihaza jab roza rakhne aur wusat karne me tatbeeq-jod mumkin hai isliye takrao ko daleel banakarriwayat ko mvzooa-manghadat kehna saheeh nahi.
Hafiz ibne hajar aur allamah siyooti Rahmatullahi alayhima ne is riwayat sabit aur saheeh qarar diya hai.
Hazrat jabir Radeeyallahu anhu aur sufyan ibne auyayna wagairah buzrogon is din kharch karne se pure saal ki wusat ka salo sal tajraba kiya hai.

Allama saawi maliki ne apne hashye sharhus sageer me charon mazhab ke imamon ka is dn ahlo ayal par kharch karne ko mustahab hone naqal kiya hai.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *