Aaj ka sawal no. 2832
Ramzan ke aakhri juma ko 4 raakat qaza e umri ki niiyat se padhne se tamam umr ki qaza namaze adaa ho jayegi ?
Jawab
Pichle kuch saalo se Jese hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social media me aik galat aur juthi hadis badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa ha ki
“jis aadmi ki zindagi me bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski tadad bhi na maalum ho to agar wo ramazan k aakhri jumuah ko 4 rakat qaza e umri ki niyat se parh le aur usme ye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichhli qaza namazo ka kaffarah ho jayega…….”
Awwal to ye baat masail k aitibaar se bilkul durust nahi hai kyunki qaza namazo ko pura parhna aikdam zaruri hai,
Niz is hadis k baare me Ulama e hadis k aqwaal bhi dekh le:
قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: “حديث من قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمره إلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً……..
(الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)
Hazrat Allahma Abdul Hai lkhnavi ra frmate hai ki Mulla Ali Qari R. A. ne use aikdam batil aur juthi likha hai,
وقال الشيخ الشوكاني: “حديث من صلى في آخر جمعة من رمضان الخمس الصلوات المفروضة في اليوم الليلة قضت عنه ما أخل به من صلاة سنته.
هذا: موضوع لا إشكال فيه ولم أجده في شيء من الكتب التي جمع مصنفوها فيها الأحاديث الموضوعة………
(الفوائد المجموعة ص 54)
Allahma shawkani ra frmate hai ki ye hadis aikdam juthi hai jisme koi shak nahi,muje un kitabo me bhi nahi mili jisme mozua (juthi) ahaadis ko jama kia gaya hai
Khulasa e kalam ye ki ye aikdam juthi hadis hai lihaza
1. Aise hadiso ko social media me felane se bachna chahiye wrna Aap SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ki is riwayat ka hum bhi misdak ban jayenge ki
(من كذب علي متعمداً فليتبوأ مقعده من النار)رواه البخاري
“jisne meri janib jaan buj ker juthi baat(hadis) mansub ki wo apna thikana jahannum me talash kr le”
2. Deen ki koi bhi baat kisi moatabar aamile deen se puche bina social media me hargiz na felaye.
Allah taala humse deen ki saheeh samaj ata frmaye.
Jazakallahu khairan
(Shaikhul hadis) Hazrat Mufti Khalil Ahmed Kawiwala db
و الله اعلم بالصواب
Tasdeeq
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.