PEHLE MAKAN BANAYE YA HAJ KARE?

Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..? (B).mahram kise kehte hai?

SAWAL

(A).Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?

(B).mahram kise kehte hai?

 

JAWAB

[A]

Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo haj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee  tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi.  

 

[ma’riful quran-2/122 se maakhuz]

[B]

Mahram se murad wo shakhs hai jike saath nikaah haram hai, chahe nasab ki wajah se, ya susrali ya dudh ke rishte ki wajah se, jaise bhai-bahen, bhanja-bhanji, bhatija-bhatiji, aur unki awlaad, saas-sasur, daamad-bahu, ye sab mahram hai,

Niz mahram ka mu’tamad [bharose ke qaabil] aaqil [aqalmand] baalig aur fitne aur shahvat ka khatra na hona bhi shart hai.

[fatwa rahimiyah, kitabul fiqah, muallimul hujjaj]

 

Awrat ke liye khalu [maasa], fufaa, apne shohar ke bhatije aur bhanje, apne behnoi,Dewar,jethi, mahram nahi hai.

[fatawa rahimiyah-8/307]

[aap ke masail 4/84 se maakhuz]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *