Good morning, goodnight, tata, bye bye, hi, wagairah kalimat kehna munasib hai?

SAWAL

Good morning,  goodnight, tata, bye bye, hi, wagairah kalimat kehna munasib hai?

JAWAB

Huzoor salallahu alaihi wasallam ne musalman ko apni zindagi me gair muslimo ki muaasharat ikhtiyar karne se manaa farmaya hai chunanche arabon ke andar subah bakhair, shab bakhair kehne Ka riwaj Tha balke aise kalimat Jis Me Allah ki taraf nisbat ho, jaise allah aap ki subah achchi kare.. ise bhi huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne pasand nahi farmaya,halan ke un kalimat ke ma’ane Me koi kharabi bhi nahi hai fir musalman ko yahood wa nasaarah ke tareeqah ikhtiyar karne ki kese gunjaish ho sakti hai???

Hadees me musalmano aapas me mulaqat ho (Sms karna ho khat likhna ho to )salaam karne aur Us ka jawab dene  ki hidayat farmai salaam Se jame’a aur behtar koi duaa nahi Is me har qisam ki aafat,balaa, museebat aur pareshani se salaamati ki aur har cheez me barkat aur rahmat ki Duaa hai gairon ke woh kalimat salaam ka badal nahin ban sakte,aisa karne me sunnat tareeqah ko chhodna balke Us ke riwaj ko mitana bhi lazim aata hai.

Lihaza musalman hone ki haisiyat Se hamara Farz Hai Ke ham islami saqafat -tauro tareqah ko zinda rakhe is Se badi na samjhi kya hogi Ke islam me har cheez hone Ke bawajood ham gairon se un ke tareeqon Ko bhikh me len!

JAMIUL FATAWA 6/125 BAHAWALA ABU DAWUD HADEES NO 5227 SE MAKHOOZ

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *