SAWAL
DIWALI AUR UN KE NAYE SAAL KI MUBARAKBADI DENE KI JAIZ SHAKAL
Diwali ki mubarak badi Dena jaiz nahi to mere Hindu bhaiyon ki company me job karta hun to un ko kese wish karun? un ko mubarakbadi na de to un ko bura lagta hai mufti sahab koi jaiz surat ho to rahnumai farmane ki darkhast.
JAWAB
Mubarak badi dena na jaiz hone ki do wajha hai ek un ke tehwar ki tazeem aur dusre un se mushabahat.
Lihaza dil me in ki is rasm ko bura samjhte huwe aese jumle se un ko mubarakbadi dee jaye Jis se na un ke tehwar ki azmat ho na un ke jumlon aur rasm se mushabahat To gunjaish maloom hoti hai masalan ye jumla kaha jaye diwali ke Is mawqia par aap ko har kaam me saheeh rasta mile. Dil me saheeh raste se un ki hidayat muraad Lee jaye.
Ya naya saal aap ke dono jahan Ki kaamyabi ka zariye bane
Diwalee ke mavqia par ishwar aap ke bhawisaya-fituchar ko roshan-prakashit kare.
english me ye keh de
Ya May your path be enlightened wagairah duaa ke jumle keh diye jaye.
Behtar yahi hai Ke khamoshi barti jaye aur un ko bura lagne ki fikr na Ki jaye jab ham shareeat par amal karenge to allah taala un ko razee kar denge agarche waqti taur Par woh naaraz ho jaye.
FATAWA MAHMOODIYAH 19/567
FATAWA BAZZAZIYAH 6/334 SE MUSTAMBAT