AAJ KA SAWAL NO.2691
A.
Me ek aisi school ka student hun jahaan jum’ah ki namaz padhne ki ijazat nahi milti, ham kai student hain to kya ham school ke maidan (ground) me ya kisi class me Jum’ah ki namaz padh sakte hain?
B.
Hame khuutba nahi aata school me mimbar nahi hai to kya karna chahiye? khutbe bagair Jum’ah ho jayega?
C.
Jum’ah ki namaz me padha sakta hun?
me hafiz nahi aur mene dharhi bhi nahi rakhi hai.
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
A.
School ke maidan ya us ki class wagairah me jumaa ki namaz aksar muftiyane kiram ke nazdeek jaiz hai.
Shahar ya bada ganv ho to kam se kam imam ke alawah 4 balig ladkon ko hona zaroori hai
B.
Jum’ah ki namaz se pehle Khutba bhi zaruri hai.
khutbe ki kisi kitab se sirf pura ek khutba xerox karva kar use achchhi tarah hal kar lena chahiye fir usi ko dekhkar padh lena chahiye.
aur khutbe ka
mimbar hona zaruri nahi aur do khutbe ke darmiyan bethna bhi zaruri nahi, lihaza kursi ka intizam ho sake to do khutbe ke darmiyan bethne ki sunnat ada kar leni chahiye.
C.
Koi hafiz ho ya daarhi wala ho to usi se namaze Jum’ah padhaye aur aisa koi na ho to aap bhi Jum’ah ki namaz padha sakte ho aur aayindah ke liye darhi jis ka rakhna wajib aur mundana haraam hai rakhne ki niyyat kar lijiye.
و الله اعلم بالصواب
MAHMOODUL FATAWA 5/210
BA HAWALA
IMDADUL FATAWA 1/614
FATAWA DARUL ULOOM 5/104
FATAWA MAHMOODIYAH 16/404
SE MAKHOOZ
Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.