AAJ KA SAWAL NO.2835
Eid ki namaz jawan,taqatwar aur tandurast logon ko eidgah me na padhna aur muhalle ki masjid me padhna kaisa hai?
Kya eidgah me padhna zaroori hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ne puri zindagi eid ki namaz masjide nabavi ki 50,000 namaz ki fazeelat hone ke ba wajood hamesha eidgah hi me padhi hai sirf ek martaba barish ki wajha se masjid me padhi hai isliye eidgah me padhna sunane huda-sunnate muakkadah -wajib ke jaisa hai bila uzr muhalle ki masjid me padhnewala sunnat ko chhodne wala, burai ke laiq, daant dapat ke qabil, shafa’at se mahroom hone ka mustahiq aur us ki aadat bananewala gunehgar hai.
Muhalle ki masjid me sirf burhe,kamzor aur bimar hazrat hi ko padhne ki ijazat hai.
FATAWA RAHEEMIYA JADEED 6/169
SHAMI ZAKARIYA 3/49
BAHAWALA TAHTAWI, KABEERI, BAHRUR RAAIQ
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
29 RAMZANUL MUBARAK 1443 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.