AAJ KA SAWAL NO.2742
Parpal, net me ek app banai gayi hai, log usme paise jama’a karke videos dekhte hai aur unke account me raqam jama’a hoti hai, uski shar’ee heshiyat kya hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Parpal Company ke website par uska tareeqa e kaar dekha gaya, is tareeqa e kaar par kaam kar ke Parpal ki website ya app par paisa kamana darje zail vujoohat ki Bina par na-jaaiz hai:
1- Isme aise log ishtihaarat- ad dekhte hai jin ka ye cheeze lene ka koi iradah hi nahi, aur bechnewale ko aise dekhne waalo ki ta’adad me izafa dikhana jo kisi tarah bhi khareedar nahi, ye bechne waalo ke saath ek qism ka dhoka hai.
2- Jaan-daar ki tasweer kisi bhi tarah ki ho bila zaroorat uska dekhna jaaiz nahi; lihaza us par jo ujrat li jaaegi vah bhi jaaiz nahi hogi.
3- In istihaaraat- ad me khawateen ki tasweer bhi hoti hai, jin ka dekhna bad nazree ki wajah se mustaqil gunaah hai.
4- Nez is maamle me jis tareeq par us site ki publicity ki jaati hai, jis me pahle account banane wale ko naye account banane wale ka commission milta Rehta hai, jab ke usne us naye account banwane me koi amal nahi Kiya, us bila amal commission lene ka muaaidah karna aur us par ujrat lena bhi jaaiz nahi.
Shareeat me bila mehnat kamaai ki hosla shaknee ki gayi hai aur apni mehnat ki kamai haasil karne ki targeeb di gayi hai aur apne haath ki kamai ko afzal kamaai qarar diya hai. Hadeesh shareef me hai:
Aap Sallallahu alayhi Wasallam se poocha gaya ke sab se paakeezah kamai kon si hai?
To Aap Sallallahu alayhi Wasallam ne farmaya ke Aadmi ka khood apne haath se mehnat karna aur har jaaiz aur maqbool tijarat .
SHARHE MISHKAT
Lihaza halaal kamaai ke liye kisi bhi aise tareeqe ko ikhtiyaar karna chahiye jis me apni mehnat shaamil ho, aisi kamaai zyadah baa-barkat hoti hai.
DARUL IFTA BINORIA FATWA TAWUN NO.144291200635
BA HAWALA MUVASTUL FIQHIYYATUL QUVVITIYYAH 1/290
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.