Hazrat Aayeshah Rd. se chhoti umar me nikah karne ki wajah

Hazrat Aayeshah Rd. se chhoti umar me nikah karne ki wajah

⭕AAJ KA SAWAL NO.2870⭕

Gairon ki taraf se yah eatraz kiya jata hai ke Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Hazrat Aayeshah Rd. se jin ki umr sirf 6 saal thi, jo beti ki umr hain un se is umr me nikah kyun kiya?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Nikah 6 saal ki umr me huwa tha lekin rukhsati (bidayi) 9 saal ki umr (garm mulkon ki balig-pakki umrwali hone ki umr) me hui thi Arab me badi umr wale ka chhoti umr wale se nikah karna aam tha, koi tajjub ki cheez nahi tha isliye kuffar aur yahodiyon ne Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM par bahot se e’atiraz (ishkal) kiye lekin yeh eatiraz kisi ne nahi kiya aur Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko (Allah Taala ki panah) bure alqab jaise jadugar, diwana wagairah kaha lekin aaj kal ke kafiron ne jin laqab ka isteamal kiya woh kisi ne nahi kiya agar yeh us samaaj me bura hota to zaroor un alfaz ka isteamal karte.

kyun ke us waqt ke kafir koi mavqah Huzoor salallahu alayhi wasallam ko badnam karne ka haath se jaane nahi dete the.

Hazrat Aayeshah Rd. islam ke dusre khalifa (badshah) Hazrat Abubakr (raziyallahu anhu) ki beti thi.

Is kam umr ki shadi ki asal wajah nubuwwat aur khilafat ke darmiyan talluq ki mazbuti thi, kyun ke Nabi Kareem SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke baad khilafat ka silsila ALLAH Taala ko Hazrat Abubakr Rd. se chalana tha khilafat ko nabi ke ghar se bhi jorna maqsood tha.

Arab ki garam (hot) aab o hawa Insani badan ke badhane (development) me Important (khaas) role adaa karti hai aur doosri baat yeh ke jis tarah ALLAH Ta’ala kuchh logon ko height body umar aur brain power ability dusray logon se badh kar deta hai.

ALLAH Taala to bahut badaa hai, agar woh kisi baat ka hukm de ya’ani chhoti umr ki ladki se badi umr ki ladki Ka kaam lena chahe to woh ho jaata hai.

Aur islam me qaidah hai ke bachpan me maa-baap nikah kara den to ladki ke balig hone ke baad use yeh ikhtiyar (chhoot) hoti hai ke chahe to woh nikah ko baaqi rakhe chahe to tod de yeh bidaayi Hazrat Aayeshah raziyallahu anha ki ijazat aur khushi se hui thi, aur poori zindagi apne is nikah par fakhr (garv) karti thi. aur us waqt musalman ki 9 saal ki har ladki aur us ke maa-baap huzoor salallahu alayhi wasallam ke saath nikah me dene ke liye betab the yeh us zamane me zarrah barabar aib (buri cheez) na thi
Aetaraz karnewalon ko ilzami jawab ye hai ke Tulsidas ki ramayan me hai ke sitaji ki umr 9 sal nahi balke sirf 6 sal ki thi aur shree raam ki umr 15 saal thi.google aur YouTube dono par search karenge to ye baat milegi. hinduon ki pandit jagadguru Ram savroop pracharayji Maharaj ka video hai use dekh liya jaye
Lekin yeh sachchai woh log nahi mante jin ke dilon per muhar (seal) lagaa diya gaya hai. Allah ta’ala Qur’an me irshad farmate hain ke
‘’Allah Taala ne in (kuffar) ke dilon aur un ke kaano per mohar laga di hai aur un ki ankhon per pardah pad gaya hai (isliye un ki samajh me nahi aata) woh sakht azaab ke mustahiq hain.

📗(SEERAT KHATAMUL ANBIYA,ASHRAFUL JAWAB WAGAIRAH)
و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *