ISLAM TALWAR KE ZOR SE PHELA HAI?PART 1

ISLAM TALWAR KE ZOR SE PHELA HAI?PART 1

⭕AAJ KA SAWAL No. 2912⭕

Kayi salon se Islam ke baare me non muslim ye kehte aaye hain ke woh talwar ke zor se phela hai logon ko zabardasti maar maar ke musalman banaya gaya hai ye aetaraz saheeh hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Baaz non muslimon ka khayal hai ke Islam ki phelane me talwaar ke zor se zyadah kaam liya gaya hai aur uske liye daleel me voh waaqiaate jang pesh karte hain badshahon ne kis qadar khoonreziyan ki hai,

me un se poochhta hoon ke ye koi samajhdar nahi keh sakta hai ke jang har haal me achchha hone ke khilaaf hai. Aaj apne ko baa adab kehne wali) qaumen bhi zaroorat ke mauqe par jang karti hain. Ma’aloom huva ki har waqt zaroori ladayi karna tahzeeb va culture ke aetibaar se jaaiz hai. Bas ab me Zaalim badshahon ki to tarafdari nahi karta. Albatta khulafaae rashideen ki babat me da’awe se kehta hoon ki unho ne kamzor buniyad par kabhi jang nahi ki. Kisi mazboot sabab ki wajah se hi vah ladayi karte the aur ladayi ke muta’alliq Islami qanoon agar mukhalifeen ki nazar se guzarta to Kabhi ye lafz zubaan se nahi nikalte Islam bazor talwaar phela hai. Qavaneen e jang Islam ne bahot se batlaae hain. Magar me is waqt ek mukhtasar qanoon Bayan karta hoon.

PEHLA JAWAB

Qanoone Islam

Islam ka mas’ala hai aur khulafae rashideen ka us par Hamesha amal raha hai ke agar koi shakhs muqaable ke waqt tumhare baap ko,
Tumahre bete ko, tumhare bhai ko, garz sab mutalliqeen ko qatl kar daale aur arse tak khoon rezi karta rahe, phir kisi ke qaboo aa jaave aur tum use badla lena chaho aur vah zubaan se ‘Laa ilaha illallahu muhammadur-rasulullah’ Kah de to Allah taala ka hukm hai ke usko fauran chhod do, agar che tum ko kaamil yaqeen ho, ke usne jaan ke khauf se hi kaha hai aur dil se Islam nahi laaya hai, tab bhi fauran us se talwar utha lo, Varna agar tumne use maara to tum jahannam me jaaoge, agar che ye bhi khatrah ho ke ye us waqt jaan bacha kar foran tum ko qatl karega, jo kuchh chahe, ab us ka qatl karna hargiz jaaiz nahi. To jis mazhab ne itni badi dhaal doosron ke haatho me de di hai, ab uske baare me koi keh sakta hai ke bazore talwaar phela hai? Yaqeen jaaniye is qanoon par hamare agle nek log poori tarah amal karte the.

📗ASHRAFUL JAWAB SAFA 141,142
Baqi aayindah kal inshaallah

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *