ASHOORAH KI CHHUTTI(HOLIDAY)
⭕AAJ KA SAWAL NO.2931 ⭕
Ashoorah ko madrasah aur karobar bandh rakhna chahiye ya chalu?
🔵Jawab🔵
Ashoorah ke din madrasah aur karobar bandh rakhne me kai kharabiyan hain.
1.Shiyon ki mushabahat
2.Shiyon ki rasmo riwaj ki taqwiyat wa tayeed
3.Us din shiya hazraat apne mazhab ke liye be panaah mashaqqat aur sakht mehnat ka muzahirah-zahir karte hain uske bar khilaf ahle sunnat chhutti rakhenge to be himmat kamzori aur aaram ka muzahirah-izhar hoga.
4.Us din bekar aur farig hone ki wajah se taziye ke juloos ya maatam wa marsiya ki majlis wagairah me shareek ho kar kai gunahon me mubtala ho jayenge.
📗AHSANUL FATAWA 1/395
Lihaza chhuti nahi rakhni chahiye
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.