ASHOORAH KI FAZEELAT,ROZA KON SE DIN,EK ROZA RAKHNA, ROZE ME QAZA KI NIYYAT AUR BAGAIR SAHRI KE ROZAH KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.2932
1.
AASHOORAH KE ROZAH KI KYA FAZEELAT HAI?
2.
ROZAH KON SE DIN RAKHNA HAI?
3.
EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN?
4.
BAGEIR SAHRI KA ROZAH RAKH SAKTE HAIN?
5.
ASHOORAH KE ROZE KE SATH QAZA ROZE KI NIYYAT KAR SAKTE HAI?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
1.
AASHOORAH KA ROZAH RAKHNE SE GUZISHTAH EK SAAL KE SAGEERAH GUNAH MUAAF HO JATE HAIN.
2.
ROZA IS SAL 2022 BA MUTABIQ 1444 KO 8 AUR 9 AUGUST YA 9 AUR 10 AUGUST YANI SOM MANGAL YA MANGAL BUDH KO ROZA RAKHNA HAI.
3.
DO ROZE NA RAKH SAKTE HO TO EK ROZAH RAKHNA BHI JAIZ HAI. LEKIN MUNASIB NAHIN HAI. HAZ. MAULANA MANZOOR NUAMANI R.A. FARMATE THE KE YAHOODIYON KI TARIKH KA TIME TABLE AB ALAG HAI LIHAAZA AB MUSHABAHAT KI
KHARABI MERE KHAYAAL ME BAAQI NAHIN RAHI.
EK ROZAH RAKH SAKTE HAIN LEKIN EK ROZAH RAKHNA MAKRUHE TANZEEHI HAI LEKIN US EK ROZAH KA SAWAB TO MILEGA
📗FATAWA MAHMUDIYAH JILD.10 SAFAH 193 DABHEL BA HAWALA
📘MARAQIYUL FALAH 640 WA
📕ALAMGIRI 1/202 SE MAAKHOOZ
4.
BAGEIR SAHRI KE AASHORAH KA AUR NAFIL ROZAH RAKH SAKTE HAIN. LEKIN SAHRI KI SUNNAT CHHUT JAYEGI.
5.
AASHURAH KE ROZAH KE SAATH AGAR QAZAA KI NIYYAT KARE TO ASAL TO QAZA ROZA HI ADA HOGA ASHOORAH KI FAZEELAT MILNE KE BAARE ME IKHTILAF HAI BA’AZ ULAMA KEHTE HAIN US DIN ROZAH KE AETAMAM KI WAJAH SE UMMEED HAI KE AASHOORAH KI FAZEELAT BHI MIL JAYEGI.
SUBAH SADIQ KE BA’AD ROZAH KO TODNEWALI CHEEZ PAISH NA AAYI HO TO ZAWAL SE PEHLE NIYTAT KAR SAKTE HAIN.
📗 FATAWA RAHEEMIYA AUR KITABUL FATAAWA
📘FATAWA QASMIYA 21/396
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.