BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SOORAT

BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SOORAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2954⭕

Bivi ko apni family se alag rakhne ke bare me shareeat ka kya hukm hai?
aaj kal ghar ghar saas bahu, derani, jethani, nand, bhabhi ke jhaghde hain, to hamen is se bachne ke liye kya karna chahiye?

🔵Jawab🔵

Shami me hai ke :
agar bivi aur shohar maaldaar ho to usey alag makan dena wajib hai, aur dono darmiyani darje ke hon to usi makan me ek mustaqil kamre ke alawah bawarchi khana (kitchen), bath room aur toilet bhi alag hona zarooree hai.jis me shohar walidain aur doosre rishtedaron ka dakhal (entry) na ho,
Miya bivi dono gareeb hon to sirf ek kamra kafi hai, jis me kisi ki taraf se koi rukawat na ho aur us me Miya bivi jab chahen aaram kar saken. kitchen, bath room, aur toilet mushtarak (joint) ho to haraj nahi.

📘AHSANUL FATAWA 5/476

📕BA HAWALA RADDUL MUHTAR 2/719

Agar bivi ko gharwalon se takleef pahonchti hai to apni haisiyat ke muwafiq bilkul alag mustaqil ghar dena waajib hai, chahe khareed kar ho ya kiraye se ho ya aariyat (isteamal) ke liye muft maang kar ho.

📗 FATAWA MAHMOODIYA SAFA 447 JILD 13 SE MAKHOOZ

NOTE: Makan dene me miya bivi dono ki maali haalat ko dekh kar darmiyani qism ka makan diya jayega

📙MAKHOOZ AZ MARIFUL QURAAN JILD 1

Hakeemul ummat hazrat maulana Ashraf Ali sahab thanvi rahmatullahi alayh farmate hain ke ek aam galti me aksar mard mubtalaa hain ke alag ghar dena apne zimme wajib nahin samajhte, aur bivi ke mutalabah ke ba wajood maa baap ke sath me rakhna gunah nahi samjhte. bas apne azeezon (rishtedaron) me aurat ko laa dalte hain..

Hazrat aage likhte hain Aaj-kal logon ki tabiyaton aur jhaghdon ke waaqiaat ka taqaza yeh hai ke agar aurat saath me rahne par razi bhi ho aur juda rehne se sab rishtedar naa khush bhi hon tab bhi maslihat yahi hai ke juda (alag) hee rakhe, usme hazaaron fitne aur buraiyon ka darwaza bandh hota hai aur is me chand roz ke liye rishtedaron ka munh chadhega, magar is ki maslihat (fayde) jab samne aayenge to sab khush ho jayenge, khas taur par chulha (kitchen) to zaroor hee alahidah hona chahiye, ziyadah tar aag isee chulhe se bhadakti hai.

📘islahe inqilabe ummat safa 143 ,144 jild 2

Maa baap sath rahne ka hukm dete hon, alag rahne se naaraz hote hon, aur bivi alag rahne ko kehti ho, to maa baap ki baat na manna gunah nahi, alag rakhna wajib hai, maa baap ki itaat wajib ko chhodne me nahi ki jayegi.

📗IMDADUL FATAWA 2/525,526

Note:
maa baap bahot boorhe hon, ya maa baap beemari ki wajah se khidmat ke mohtaj hon, aur koi doosra khidmat karnewala na ho, to phir shohar ke zimme khidmat ka intizam karna ya saath reh kar maa baap ki khidmat karna zarooree aur muqaddam hai.

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *