Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi | 1480

Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi 1480

 

Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi’ Karna Chahye?

Mashhoor Bidaten Kya Kya Hain?

 

Jawab: حامد و مصلیا و مسلما

“Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi”: Muharram Ke Mahine Ko Maatam Aur Sog Ka Mahina Qarar Dena Jaiz Nahin, Haraam Hai, Aur Muharram Ke Mahine Me Shaadi Wagairah Ko Na-Mubarak Aur Na-Jaiz Samajhna Sakht Gunah Aur Ahl-E-Sunnat Wal Jamat Ke Aqeede Ke Khilaf Hai.

Islam Ne Jin Chizon Ko Halaal Aur Jaiz Qarar Diya Ho, Aeteqadan Ya Amalan Unko Na-Jaiz Aur Haraam Samajhne Me Iman Ka Khatrah Hai.

Fatawa Raheemiya 3/191

 

“Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi”:

Muharram Ko Zikr E Shahadat Ka Bayaan Karna Agarche Sahih Riwayaton Se Ho, Ya Sabeel Lagaa Kar Sharbat Pilana Ya Chanda Sabeel Sharbat Me Dena, Ya Doodh  Pilana Yeh Sab Sahih Nahin Hai Aur Rawafiz (Shiyaon) Se Mushabahat (Similarities) Ki Wajah Se Haraam Hai.

Fatawa Rasheediya: 139

Taziya Saazi Ka Na-Jaiz Hona Aur Uska Khilaafe Deen O Imaan Hona Azhar Minash Shams Hai, Qur’an E Majeed Me Hai:

اتعبدون ما تنحتون

Kya Tum Aisi Chizon Ki Ibadat Karte Ho Jisko Tumne Tarasha Aur Banaya Hai.

Zaahir Hai Ke Taziya Insaan Apne Haath Se Tarash Kar Banata Hai, Aur Fir Mannat Maani Jaati Hai Aur Usse Muraaden Maangi Jaati Hain, Uske Saamne Aulaad O Sehat Ki Duaen Ki Jaati Hain, Sajdah Kiya Jaata Hai, Uski Ziyarat Ko Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu Ki Ziyarat Samjha Jata Hai,

Kya Yeh Sab Baaten Imaan Ki Rooh Aur Islam Ki Taleem Ke Khilaf Nahin? Yeh Sab Baaten Bid’at Aur Na-Jaiz Hain.“`

Fatawa Raheemiya 2/275

Fatawa Rasheediya 576

 

Aashoorah Ke Din Ke Mutalliq Shariyat Ne Khaas Chizen Batlayi Hain:

 

  1. Rozah Rakhna.
  2. Ahel O Ayaal Par Khaane Peene Me Wus’at Karna.

Hadees Shareef Me Hai Ke Jisne Yaum E Aashoorah Ke Din Apne Baal Bachon Par Khaane Me Wus’at (Kushadgi) Ki To Allah Ta’ala Poore Saal Rozi Me Izafa Karenge, Iske Ilawa Us Din Ke Liye Aur Koi Hukm Nahin Hai.

Fatawa Raheemiya 2/380

Masail E Shirk O Bid’at

و الله اعلم بالصواب

“Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi” By:  Mufti Imran Ismail Memon Sahab

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *