SHOHAR (HUSBAND) KE ZIMME BIWI KE HUQOOQ 1506
‘Shohar Husband ke zimme biwii ke huqooq’ aur aadaab kya kya hain?
Us baare me badi kotahi ho rahi hai.
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
Qura’an wa hadees ki roshni me “Shohar Husband ke zimme biwii ke huqooq Jo” hain woh hasbe zail hain.
- Shauhar Ka bivi ke samne achchhi haalat me rehna (Saaf suthra khushbudaar rehna).
- Shauhar ka apni bivi ko wohi cheez khilana jo khud kha raha ho.
- Aurat ko usee me’ayar (category) ke kapde pehnana, jis mea’yar ke khud pahan raha ho.
- Narmi se baat karna.
- Bivi se husne sulook karna, aur usse pahonchne wali takaalif ko bardasht karna.
- Ghar ke kaam-kaaj me bivi ka haath batana.
- Jaiz wa’adon (promises) ko poora karna.
- Ek se ziyadah biviyon me baraabari karna.
- Na munasib kaamo par pehle naseehat karna.
- Nasihat se fayda na ho to sone ki jagah ko alag karna.
- Agar yeh tariqah bhi mufeed saabit na ho, to hudoode shareeat me reh kar kuchh halki si pitayi karna.
- Aurton ko munh par na marna.
- Biwi ki saheliyon aur rishte daron ka ikraam karna.
و الله اعلم بالصواب
“Shohar Husband ke zimme biwii ke huqooq”
SUNANO A’ADAAB SAFA 272
ISLAMI TAREEKH : 25 MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.