AANKH KONE ME SUKHI CHIKNAHAT KE SATH WUZU GUSL
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2917⭕
Kisi ki aankhe dukhti hain isliye us ki aankhon se kichad-chikna kachra bahut nikla aur sukh Gaya aur jaldi gusal karne ki wajha aankh ke kone se use nika nahi paya to janabat- ka gusl huwa ya nahi?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me us sukhe huwe kichad-mail ko chhudakar us ke niche Pani pahonchana wajib tha aur pani nahi pahoncha, isliye gusl nahi huwa.
Not: wuzu me bhi us sukhi chiknahat ko nahi nikala to wuzu bhi saheeh nahi hoga.Lihaza agar use nikal kar pani pahoncha diya to gusal , wuzu saheeh ho jayega dobara pura gusl aur wuzu karna zaroori nahi.
📗BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 38
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India