JANAZE KI NAMAZ ME TAKBEER CHHUT JAE TO?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2918⭕
Agar koi shakhs janaze ki namaz me aise waqt pahuncha ke kuchh takbeere uske aane se pehle ho chuki ho to jis qadar takbeere ho chuki ho to kaise shareek Howe?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
jis qadar takbeere ho chuki ho un ke aitebar se wah shakhs masbooq samjha jaaega, aur usko chahiye ke fauran aate hi aur jamat ki namazon ki tarah takbeere tahrima keh kar shareek na ho jaae balke imam ki (agli) takbeer ka intizaar kare jab imam takbeer kahe to uske saath ye bhi takbeer kahe aur ye takbeer uske haq me takbeere tahreema hogi. Phir jab imam Salam pher de to ye shakhs apni gayi hui takbeero ko adaa (qaza) kar (jab tak janaza samne ho) le aur usme kuchh padhne ki zaroorat nahi.(lihazaja janaza uthne se pehle jaldi jaldi chhuti hui takbeeren keh lewe)
📕BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 257
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India