ABU LAHAB WALI HADEES SE MEELAD KE SUBOOT KA JAWAB
Jab Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Hui tab Abu lahab Ki Laundi (Ghulam Aurat/Lady Slave) Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha Ki Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Azad Kiya Tha.
“Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Halat Mein Dekha To Usse Puchha
“Tera Kya Haal Hai”
To Abu- Lahab Ne Kaha
“Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa’ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata
Hai Is Se Maine Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya Ko Aazad Kiya Tha”
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)
========================================================================
@ Eid-e-Milad Post 11 @
Topic->(Continued)
Abu Lahab ne bhi Milaad-e-Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم manaya ?
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlviﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه
ne “MA SABTA MINAS SUNNA”
mein,
“Jo hadees post no.10 me mention ki gayi”
Us Hadith ko naqal farmaya hai,
Abu Lahab ki londi thi jiska naam Sobiya tha, usne Sarwar-e-Do Alam صلی اللہ علیہ وسلم ki peda’ish par Abu lahab ko khabar di thi to Aap صلی اللہ علیہ وسلم
ki peda’ish ki khabar sunne par Abu Lahab ne Sobiya ko azaad kardiya tha.
Tou Abu Lahab k marne k baad kisine usse khuwaab main dekha, poocha ke “kaho kya haal hai”
to woh bola,
“AAG main hoon albatta itna karam hay k har Peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aur isharay say bataya ke APNI DO UNGLIYUN Se PANI CHOOS LAYTA HOON, aur yeh inayat mujh par is wajah se hai ki muujhe Sobiya ne bhatijay ki peda’ish ki khabar di thi to is basharat ki khushi main, maine usse do ungliyun k isharay say azaad kardiya tha aur phir usne usse doodh pilaya tha”.
JAWAB
1.KHAWAB ME KIS NE DEKHA YE HADEES ME NAHI BATAYA GAYA HAI ISLIYE YE RIWAYAT MAJHOOL-ZAEEF HAI.
2.KAFIR KI KOI BAAT BEDAREE KI HUJJAT NAHI TO KHAWAB KI BAAT HUJJATE SHAREEYYAH KESE HO SAKTI HAI!
3.YE RIWAYAT KO MAAN BHI LIYA JAYE TO JAWAB YE HAI KE IS SE TO HUZOOR SALALLAHU ALAYHECWASALAM KI VILADAT PAR BANDI AZAD KARNE KI FAZEELAT SABIT HOTI HAI AAP BHI BANDI KA DAUR NAHI TO QAIDIYON KO AZAD KARO LIGHTING ME AUR BENARON ME PESE FUZOOL KHARCH KARNE KE BAJAYE BE GUNAH MUSALMAN QAIDIYON KO AZAD KARANE KE CESH LADO.