SOOD KE PAISON SE BAITUL KHALA, RAASTA BANANA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2966⭕
Sood ke paison se masjid, madrasah ya gareeb aadmi ka baitul khala ya public raasta, pani ka piyau (parab) bana sakte hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Bila zaroorat aur bila uzr bank me raqam na rakhi jaye, agar kisi uzr se rakhi gayi aur us par Bank ki taraf se sood milta hai to woh bila niyyate sawab gareebon aur miskeenon ko de di Jaye.
usko masjid ya madrasah ke baitul khala ke banane me lagana durust nahi hai.
Jin faqeeron aur miskeenon ko ye raqam de dee jaye, woh apni milk aur qabze me aane ke baad apni ya doosre ki kisi bhi zaroorat me lagana chahen to laga sakte hai.
📕MAHMOODUL FATAWA 4/509
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India