AAJ KA SAWAL NO.2825
1. Masnoon aitikaf ke liye roza shart hai?
2. Bimarpursi karne nikal sakte hai?
3. Niyyat kese kare?
4. kya masnoon aitikaf toot jaye to kitni din ki qaza karni padegi?
5. Aur chadare (pardah) lagana zarooree hai?
6.Khana pahonchane wala koi na ho to khana lene ghar ya hotal me khane jaa sakta hai?
JAWAB
1. Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha,
2. muatakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi, ⇨haa! Agar apni qudratee Zaroorat (peshab pakhane) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he,
3. Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he,wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye,
Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he,
Muatakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he,
4. Aitkaaf me chadar (pardah) lagana zaroori nahi,
5..Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha,
★ Har Din ka Aitkaaf ek mustaqil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise Ikhtyar kiya he,
6.Agar muatakif ke ghar ya kisi aur jaga se khana wagairah aane ka koi nazm nahi hai to woh hasabe zaroorat guroob ke baad khane ke liye apne ghar ya hotal me ja sakta hai isliye ke ye bhi tabee zaroorat me dakhil hai
Aapke Masail aur U
lnka Hal, 3/323.
KITABUL MASAIL 2/109
TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA