AAJ KA SAWAL NO. 2824
1. Aurton ke aetikaf ke liye kya kya cheezen shart hai ?
2. Aurat poore room mein aetikaf kar sakti hai ?
3. Kitchen mein aetikaf Kar ke unke kaam kar sakti hain?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
1. Masnoon Aetikaf ke liye Roza rakhna shart hai.
2. Aurton ke aetikaf ke liye haiz,nifas se paak hona shart hai agar haiz aa jayega to aetikaf toot Jayega.lihaza ayyam Ka khayal rakhe.
3. Aurat apne ghar ke kisi kamre ko aetikaf ki jagah banaa sakti hai voh kamra uske liye masjid ka hukm rakhega ya’ni us kamre se bila zaroorat bahar Na jaaye.
4. Agar kitchen bada hai to aurat kitchen ko bhi aetikaf ki jagah banaa sakti hai aur usmein baithe baithe kitchen ke zaroori kaam masalan sabzi kaatna wagairah Kar sakti hai,khana pakane se aetikaf Nahi tootega.lekin behtar yahi hai ke mu’takifah aurat zyada waqt ibadat hi mein guzare gharelu kam mein Bila zarurat mashgool Na ho.
Mustafad az fatawa mahmoodiyah merath 15/334
kitabul masail 2/122
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.