ALLAH KA ARSH PAR HONE WAGAIRAH KE BARE ME AQEEDA

ALLAH KA ARSH PAR HONE WAGAIRAH KE BARE ME AQEEDA

AAJ KA SAWAL NO.1617

Kya kehte ahle sunnat dewbandi ulạmaa Allah ta’ala ke is qism ke qaul ke:

“Rahman arsh par mustawi huwa -betha”

“Allah ka hath wagairah” insani amal aur aazaa ke bare me ?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

is qism ki aayat me hamara mazhab ye hai ke, in par iman late hain, aur kefiyat se bahas nahi karte,

yaqeeni taur par jante hai ke Allah Taala makhlooq ke awsaaf (uthna bethna chalna firna wagairah) awsaaf se paak hai,

yani Allah Ke arsh par bethna to mante hai;  lekin woh kis tarah bethte hai bethne ke liye jism chahiye, Allah jism se paak hai,

lihaza bethne ka kya treeqah aur us ki kya haalat hoti hai us se ham bahas nahi karte, jis tarah Allah ki shan ke munasib hai bethte hai.

ye hamare mutaqaddimeen (chhathhi sadi tak ke ulamaa) ki raay hai.

aur hamare mutakhkhireen ne un alfaz ki saheeh lugat- dictionary (mayne) ko dekhte huwe us ki taweel -munasib matlab nikala hai,

take kam samjh rakhne wale log bhi samjh sake, aur yun kaha ke arsh par bethne se muraad Allah ka gaalib aana hai.

aur Allah ka hath se muraad us ki madad hai,

Allah ke chahre se muraad us ki izzat hai,

ye mayne bhi saheeh hai lekin Allah ke liye jaga, simt disha aur makaan thehraana saheeh nahi, Allah in khatm ho jani wali cheezon se paak hai.

AQAIDE ULAMAA E DEWBAND SAFA 18

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
17 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

[button color=”red” size=”big” link=”https://www.aajkasawal.in/subscribe-kare/” icon=”” target=”true”]SUBSCRIBE TO AAJ KA SAWAL[/button]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *