ASHOORA KI NAMAZ KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2935⭕
Ashoora ki namaz hamare yahan ba jamat hoti hai use padhna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ham ahle sunnat wal jamaat tamam muqallideen hain yani fiqah (masail) me us imam ki pervi karte hain jinhon ne apni Ilmi mahaarat se quraan,hadees ki roshni se masail nikaale hain, un ke maslak ki kisi bhi kitab me ashoora ki namaz ka tareeqah nahi likha hai ke us ka waqt kya hota hai,kitni rakat hoti hai khutba padha jayega ya nahi? halaan ke un kitabon me dono eid,Sooraj grahan,chand grahan,baarish talab karne ki namaz wagairah Kayi namaz ke tareeqe likhe hain.ham koi ibadat apni marzi ke tareeqe se nahi kar sakte.apni marzi se kisi bhi tareeqe se karna bid’at kehlayega jo sakht gumrahi aur kabeerah gunah hai lihaza is bid’at se bachna zarooree hai.
و الله اعلم بالصواب
📕MAA SABATA MINAS SUNNAH FEE AYYAMIS SANAH SAFA 17 SE IZAFE KE SATH
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India